Our real problem, then, is not our strength today; it is rather the vital necessity of action today to ensure our strength tomorrow.

Suspect arrested in Sabeen Mehmood murder's case. 12:32 AM (PST)

Sunday 29 March 2015

April fool ki haqeeqat aur pas manzar Islami ro se.

                

West ki be soche samjhe taqlid(follow) ke shoq  me hamare muaashre me jin rasmo ko riwaj diya,unhi me se ek rasam “April fool” manane ki rasam bhi he,is rasam ke tahat 1st April ki tarikh me jhuth bol kar kisi ko dhoka dena,or dhoka dekar use fool yani bewaquf banana  na sirf jaiz samjha jata he; balke use ek art or kamal qarar diya jata he, jo shakhs jitni safai or chabuk dasti se dusre ko jitna bada dhoka de,utna hi use qabile ta’rif or 1st april ki tarikh se fayda uthane wala samjha jata he. 

 Ye mazaq jise dar haqiqat “bad mazaqi” kehna chahye,na jane kitne afrad ko bila wajah jani ormali nuqsan pahucha chuka he; balke uske natije me baaz awqat logo ki jane bhi chali gayi he k unhe kisi aise sadme ki jhuthi khabar suna di gayi jise sunne ki wo taab na sake or zindagi hi se hath dho bethe.

    Ye rasam jiski bunyad jhuth,dhoke or kisi be gunah  ko bewaquf banana par he,akhlaqi eatebar se to jaisi kuch he zahir hi he,lekin uska tarikhi pehlu(historical background) bhi un logo ke liye intehayi sharamnak he jo hazrat isa alayhisSalam ke taqaddus(pakizgi) par kisi bhi eatebar se iman rakhte he.

 

   Is rasam ki ibteda kaise huwi? Is bare me muarrikhin(tarikh likhne wale) ke bayanat mukhtalif he,baaz musannifin ka kehna he ke france me 17th sentury(sadi) se pehle saal ka aagaz January ke bajaye April se huwa karta tha,is mahine ko roman log apni devi  Venus ki taraf mansub karke muqaddas samjha karte the,”venus” ka tarjuma unani zuban me Aphrodite kiya jata tha,or usi unani name se mushtaq (nikal)karke mahine ka name April rakh diya.(Encyclopedia Britannica 15th addition)

    Lihaza baaz musannifin(kitab likhne wale)ka kehna he ke chunke 1st april saal ki pehli tarikh hoti thi ,or uske sath ek but parastana taqaddus or azmat bhi wabasta tha,isliye us din ko log jashne masarrat  manaya karte the ,or usi khushi ke jashn ka ek hissa hansi mazaq bhi tha jo rafta rafta  taraqqi karke april fool ki shakal ikhtiyar kar gaya,baaz log kehte he k is jashne masarrat ke din log ek dusre ko tohfe diya karte the,ek martaba kisi ne tohfe ke name par koi mazaq kiya jo bil-aakhir dusre logo me riwaj pakad gaya. 


Encyclopedia of Britannica me is rasam ki ek or wajah ye bayan ki gayi he ke 21st march se mosam me tabdiliya aani shuru hoti he,un tabdiliyo ko baaz logo ne is tarah ta’beer kiya ke (Ma’aazallah) qudrat hamare sath mazaq kar ke hame bewaquf bana rahi he lihaza logo ne bhi us zamane me ek dusre ko bewaquf banana shuru kar diya.

(Britannica:1/496)

  Ye baat ab bhi mubham hi he ke qudrat ke is name nihad “mazaq” ke natije me ye rasam chalane se “qudrat” ki pervi maqsud thi ya usse inteqam lena manzur tha?

     Ek tisri wajah 19th sadi isvi ki mashur encyclopedia “ Larose “ ne bayan ki he or usi ko sahih qarar diya he,wo wajah ye he ke dar asal yahudiyo or isaiyo  ki bayan kardah riwayato ke mutabiq 1st april wo tarikh he jisme rumiyo or yahudiyo ki taraf se  hazrat isa alayhis salam ko tamaskhur( maskhari) or istehza(mazaq,thattha) ka nishana banaya gaya,moujuda name ki bibles me us waqiye ki tafsilat bayan ki gayi he,luqa ki bible ke alfaz ye he :

  “or jo aadmi use( hazrat isa alayhis salam ko) giriftar kiye huwe the  usko that the me udate or marte the or uski aankhe band karke uske munh par tamanche marte the,or usse ye kehkar puchte the ke nubuwwat (yani ilham)se bata ke kisne tujhko mara?

Or  ta’ne maar maar kar bahot si or bate uske khilaf kahi”

(Luqa 22:63…ta 65)

  Ingilo me ye bhi bayan kiya gaya he ke pehle hazrat masih alayhis salam ko yahudi sardaro or faqiho ki adalat e Aaliyah me pesh kiya gaya,phir wo unhe pilate’s ki court me le gaye k unka faisla waha hoga,phir pilate’s ne unhe Rhodes ki adalat me bhej diya,or bil-aakhir Rhodes ne dobara faisle ke liye unko pilate’s hi ki adalat me bheja.

     Larose  ka kehna he ke hazrat masih alayhis salam ko ek adalat se dusri adalat me bhejne ka maqsad  bhi unke sath mazaq karna,or unhe taklif pahuchana tha.  Or chunke ye waqiya 1st April ko pesh aaya tha,isliyeApril fool ki rasam dar haqiqat usi sharamnak waqiye ki yaadgar he.

   April fool manane ke natije me jis shakhs ko bewaquf banaya jata he,use franchise language me poisson d’avril  kaha jata he jiska English tarjuma  april fish he, yani april ki machli(Britannica:1/496) goya jis shakhs ko bewaquf banaya gaya he wo pehli machli he jo april ke aagaz me shikar ki gayi. Lekin larose ne apne upar ke mawqaf ki taeed me kaha he ke poission ka lafz jiska tarjuma “machli” kiya gaya he  dar haqiqat usi se milte julte ek or franch lafz “posion” ki bigdi huwi  shakal he jiske ma’na taklif pahuchane or azzab dene ke hote he. Lihaza ye rasam dar haqiqat us azaab or aziyyat ki yaad dilane ke liye muqarrar ki gayi he jo isaai riwayat ke mutabiq hazrat isa as. Ko pahuchayi gayi thi.

  Ek or franch other ka kehna he ke dar asal “poisson” ka lafz apni asal shakal par hi he,lekin ye lafz 5 alfaz ke ibtedaee huruf ko mila kar tartib diya gaya he jinke ma’na franchise language me tartib waar isa,masih,Allah,beta or fidya hote he.(tafsil ke liye dekhye Farid wajdi ki arabi encyclopedia,dairatu ma’aarifil quran:1/21,22)   goya us musannif ke nazdik bhi april fool ki asal yahi he ke wo hazrat isa alayhis salam ka mazaq udane or unhe taklif pahuchane ki yaadgar he.

        Agar ye baat durust he (larose wagera ne bade wusuq ke sath durust qarar diya he or uske shawahid pesh kiye he) to galib guman yahi he ke ye rasam yahudiyo ne jari ki hogi,or uska mansha hazrat isa alayhis salam ki tazhik(Mazak banana) hogi ,lekin ye baat herat angez he ke jo rasam yahudiyo ne ( (معاذالله hazrat isa as. Ki hansi udane ke liye jari ki, use isaiyo ne kis tarah thande peto na sirf qubul kar liya,balke khud bhi use manane or riwaj dene me sharik ho gaye, uski wajah ye bhi ho sakti he ke isaai sahiban us rasam ki asliyat se waqif hi na ho,or unho ne be soche samjhe  us par amal shuru kar diya ho,or ye bhi ho sakta he ke isaaiyo ke mizaj o mazaq is mamle me ajeebo garib he,jis salib par hazrat isa as. Ko unke khayal me suli di gayi BaZahir qayde se hona to ye chahye tha ke wo unki nigah me qabile nafrat hoti ke uske zariye hazrat maseeh alayhis salam ko aisi aziyyat di gayi,lekin ye ajeeb baat he ke isaai hazrat ne use muqaddas qarar dena shuru kar diya,or aaj wo isaai mazhab me taqaddus ki sab se badi alamat samjhi jati he.

    Lekin upar likhi tafsil se ye baat wazeh hoti he ke chahe april full ki rasam venus name ki ki devi ki taraf mansub ho,ya use (muaazallah) Qudrat ke mazaq ka radde amal kaha jaye,ya hazrat maseeh alayhis salam ke mazaq udane ki yaadgar ,har surat me is rasam ka rishta kisi na kisi Tawahhum parasti (superstition) ya kisi Gustakhana nazarye ya waqiye se juda huwa he,or musalmano ke nuqta e nazar se ye rasam mundarja e zel badtarin gunaho ka majmua he:

(1)           Jhuth bolna.

(2)           Dhoka dena.

(3)           Dusre ko taklif pahuchana.

(4)           Ek aise waqiye ki yaad manana jiski asal ya to but parasti he ya tawahhum parasti ya phir ek pegambar ke sath Gustakhana mazaq.

   Ab musalmano ko khud faisla karna chahye ke aaya ye rasam is layaq he ke use musalman muaashro me farog (barhawa)diya jaye.?

   Allah ta’la ka shukr he ke hamare mahol me april fool manane ka riwaj bahot ziyada nahi he,lekin ab bhi har saal kuch na kuch khabare sunne me aa hi jati he ke baaz logo ne april fool manaya, jo log be soche samjhe is rasam me sharik hote he,wo agar sanjidgi se is rasam ki haqiqat , asliyat or uske nata’ij par gor karege to in sha allah usse parhez ki ehmiyat tak zarur pahuch kar rahege.

(Zikro Fikr:mufti taqi uthmani d.b.66…ta 70)

No comments:

Post a Comment