Our real problem, then, is not our strength today; it is rather the vital necessity of action today to ensure our strength tomorrow.

Suspect arrested in Sabeen Mehmood murder's case. 12:32 AM (PST)

Wednesday 29 April 2015

  Nojawan Nasal.

Pakistan ki awam bilkhusoos nojawano ko social media ki yalghaar ne guzishta 3,4 barson se buri tarha apni grift me le lya hai. Youn k is k shikanje se apni jaan churana mushkil nazar ata hai. Pehle
Facebook
, phir Twitter, viber, Whatsapp, Tango, E-buddy, Skype Gharz an-ginat network hain jo nojawano ko dunya bhula kar Apne Aap me Mashghol rakhte hain. Asr -e-Rawan me hamare pas maloomat or peghamat ka ek hujoom hai jo sailab ki tarha umandta chala arha hai. Mehaz ek click pr dunya jahan ki maloomat apk samne bikhri pari hoti hain. Hum is hujoom me itna ulajh gae hai k hamari moral values, knowledge or creativity zero hoti ja rhi hai. Hamari nojawan nasal Social networking websites ki takhleeq k maqasad to door, Apne Maqasid e zindagi bhi bhoolte ja rhe hai. Is social networking ne hamen family se disconnect krdya hai. Ek ghar me rehne wale dosre ki khabar nhi rakh pate, lekin Saat samandar paar baithe doston or waqif kaaron ko how are you, get well soon k paighamat bhejte zarror nazar ate hain. Ek or ghalat rujhan jo maashre me nimo paa rha hai wo privacy ka ehsaas khatam hojana hai. kisi k ghar me koi zaati taqreeb munaqid ho to agle din adhe shehar ko tafseel, caption samait personal pics daikhne ko miljati hain chahe us sham sahib e khana ka parosi or us k bache bhook se behaal hon, kis ko parwa hai?
Deegar mumalik me Social networking websites ko awareness spread krne k lye, or as a revolution tool istemal kya gya. Jis ki taaza misaal misar(Egypt), shaam(Syria), Lebnon or turkey hain. Lekin Pakistani maashre me hum log tafreeh or khud numai se bahar hi nhi aske. To iska Positive Istemal khuda jane kb seekhenge? Kisi positive surat e haal k Asaraat door door tak nazar nhi ate. Hum bunyadi tor pr shughal maile me masroof qoam or ghair sanjida riwaye k haamil hain. Social Networking ne bhi Hamen Octopus ki tarha daboch lya hai. Hum isk lye addiction to mehsoos krte hain lekarapni ghulamana zehniyat or rawish badalne ko Tayar nhi hain..

 

 Hunar nhi Qadar ki kami hay.

Watan-e-Aziz Pakistan ko Khuda ne beshumar qudarty khazano aur tahaif se nawaza hay jin ka faida uthatay huye hum taraqi ki beshumar manazil tey ker saktay hain, hamaray pass kisi cheez ki kami nahi sub kuch mojood hay agar kuch kami hay tou wo sirf aur sirf imaan ki hay hum be-imaan hogaye hain jis ki waja se hamay faida aur nuqsan me farq samajh nahi aata yehi waja hay k hum tawanai o deegar bohrano me ghiray chalay jarahay hain, hamaray pass hunar ki kami nahi qadar ki kami hay. Hamaray mulk ki awam mulk k liye kuch kerna chahtay hain lekin in ko moqa nahi dya jata jis ki waja se hamari koi b nayi ejaad mashoor honay se pehle hi zawaal aur kharabio ka shikaar hojaty hain. Hamaray mulk k bachay aur burhay sab k sab zaheen hain aur mulk k liye kuch na kuch kerna chahte hain. Agar Pakistan k zaheen nojawan bacho ki baat ki jaye tou Babar Iqbal,Arfa Kareem aur Sikander mehmood baloch aur in jesay mutadad deegar wo naam hain jinho ne IT k shobay me Pakistan ka naam roshan kiya aur rukni record banaye. Arfa karim ab is dunya me nahi rahi magar isne Pakistan k liye na sirf record banaye bul k bainal aqwami IT company microsoft k saath mil ker Pakistan k liye kaam kiya. Hamein nojawano me chupi khubian talash ker k inhe mulki mufaad me istemal kerne ki zaroorat hay. Tawanai k bohran se nijaat k hawalay se baat ki jaye tou haal hi me Dr.Sarwar ne jehlum me qaim National Scientific and Educational Research Centre me pani se chalnay wali do gariya banai hain aur ye dono gariyan 60 feesad endhan ki bachat ker rahi hain. Dr.Sarwar ki pani se chalnay wali gari na sirf petrol aur gas k istemal me kami lasakty hay bul k mahol ki aloodgi me b kami lasakty hay. Aaj kal CNG stations aur petrol pumps per gario ki qatarein lagi rehty hain is maslay ko Dr.Sarwar ki madad se hul kiya jasakta hay. Hamaray mulk me aisay mutadad log hain jo mulk taraqqi k liye khoon paseena aik kerne ko tayar hain magar in ko hukumati sar parasty hasil nahi jis ki waja se koi b bara kaam kerne se qasir hain. Agar hukumat aisay logo ki sar parasty shuru kerday tou mulk tamam bohrano aur pareshanio se nikal sakta hay. Hamein yakja ho ker imandari se kam kerne ki zarurat hay. Pakistan me zahanat ki kami nahi hay zarurat is amar ki hay k zahanat ki qadar kerte huye isay istemal me laya jaye ta k mulk ki taraqi aur bhala ho sakay.

 Shows aur Dramay

Aaj kal shows me jo dramay aur jo dramas me show horaha hay sab aqal-o-feham se bala hay kuch samajh ni araha k kya chal raha hay? Is tamam aur do numbari se kya kerna maqsood hay? Be-tarteebi aur be-dhangi hadon ko phelangay huye hain. Kahin veena malik ka nikah pe nikah parhaya jaraha hay, kahin koi jadu nagri bana ker tamashay dikha raha hay,jin nikalay jarahay hain, kahin summer camp lagay huye hain tou kahin fahash raqs-o-sarood jaari-o-saari hay. Jin ko apnay ghar k afrad k mukammal aur durust kawaif maloom nahi wo dunya wo dunya bhar k halat-o-waqiat per gumrah kun tajziye ker rahay hain, kahin larko aur larkio k ajeeb-o-ghareeb qism k khel tamashay ho rahay hain aur kahin saas bahu k tanay chal rahay hain tou kahin do bazari aurto ko lartay dikhaya jaraha hay. Commercialism aur pesay ki hawas ne media walo ko andha ker k rakh dya hay. Sirf pesa aur mashoori zaroori hogaya hay. Aisa kerte huye ikhlaqi,saqafti,nazaryati yaha tak k mazhabi iqdar be pamaal hoty hain. Pehle indian dramay aur films kafi nahi thi k ab turkey k dramay import kerne shuru ker diye gaye hain wo b mukammal sahulat k sath yani urdu tarjumay k sath sab dhoka dahi aur fareb nazri hay hum zaban honay se koi hum watan nahi hojata. Kahan wo modern european turkish log aur kaha hum third world k baasi. Bus yehi aik nukta hay jaha se hamaray beshumar masail shuru hotay hain. Kisi taraqi yafta qom ki tarah ka rehan sehan apnanay se in ki zaban ko isi tarha puri mohlat se bolnay se ho sakta hay ap ki nafsiat per kuch asraat numayan ho magar haqeeqat yu asani se tabdeel nahi honay wali. Saiyanay kehte hain k agar samne walay ka mou lal ho tou apna thappar mar ker nahi kerna chaiye. Soch aur approach ko badalna parhta hay. Aur PEMRA ko chaiye k naaam nehad taraqqi aur turkey k matwalo ki rok tok k liye sakht se sakht qanoon saazi karay aur un per mann ann amal b kerwaye.

 Jadeed Aloom aur Hum

Aik waqt tha jab insan pathar k zamanay me rehne ka aadi tha ahista ahista insan taraqi ki manzil ko tay kerne laga. Waqt badalnay k sath sath insan ki zarooriat bhi badalnay lagi. Tarz-e-zindagi me ju ju tabdeeli aaty gai. Insan ki justuju aur tehqeeq me izafa hota gaya. Zarurat aeyjad ki maa hay is liye maa ne apni aulad k liye din raat ek ker k insaan k liye naye jahano k darwazy khol diye. Allah ta'la ne bani nooh insan k liye ilm-o-hikmat k darwa kerdiye. Mohsin-e-insaniyat (S.A.W) ne Allah ka kalam jo dono jahano k liye nuskha-e-kimiya hay hamaray seeno me mehfooz kerdya. Magar waqt guzarnay k sath sath hum ilm se door hotay gaye aur zawal hamara muqaddar banta gaya. Jo aloom hum musalmano ki meraas thay wo aghyar k hatho me ja pohanchay jis k zariye muslim mumalik k ilawa pori dunya ne faida uthaya aur aaj hum in k samne das basta kharay hain. Is mushkil ka ek hi hal hay aur wo hay taleem. Zarurat sirf is amar ki hay k arbab-e-ikhtiyarat apni ayashia chor ker awaam ko deegar bunyadi zaruriat aur jadeed taleem tak rasai faraham karein aaj tijarat simat ker e-commerce ban chuki hay. Talwar ki jaga atomic energy ne le li hay, sawari k liye super sonic, larnay k liye F-16, computer ko jaib me muntaqil ker dya gaya hay. Insani zaruriat ko pura kerne k liye,satellite,gps aur internet ki sahoolat se bhar poor faida uthaya jaraha hay. Aisay waqt me hum ko ashad zarurat hay k apnay ap ko ilm jadeed se aarasta-o-peerasta kar k mul-o-millat ka naam roshan karein. Asar-e-hazir me is gum shuda meeras ko dhundnay k liye cheen janay ki b zaroorat nahi hay dunya aik global village ban ker ap ki ungli k ek touch me simat chuki hay. Aaj hackers kisi b jaga per beth ker kisi b mulk k saray idaray apnay control me le saktay hain, kisi b mulk ko tanha kerne k liye print media,electronic media aur social media aik hatyaar k tor pe istemaal horahay hain. Cyber crime ko samne rakhte huye aj taraqi yafta mumalik ne in mushkilat se nimatnay k liye khasoosi idaray qaim kerdiye hain. Aaj kisi b insan k baray me jannay k liye waldain,rishtedaar aur dost nahi janta jitna computer janta hay magar hum in cheezo ko dekhte huye b wo iqdam nahi ker rahay jin ki zaroorat hay. Computerized shanakhty card aur passport jesay idaray b nakami ki raah per gamzan hain. Aaiye apnay aap se ahed kijiye k anay walay waqt me dusray aloom k saath saath jadeed aloom se behrawar ho ker technology k medan me mulk-o-millat ko aqwam alam k samnay mazboot bananay me apna kirdaar ada karen gay.

Friday 24 April 2015

 

 

 

 Taleem Niswa'n


Ilm k baghair dunya andheri kothri ki manind hay. Isliye mardo k taleem yafta honay k saath saath khawateen ka b ilm hasil kerna zaruri hay. Mard aur aurat gari k do pahiye ki tarah hain. Gari kabhi aik pahiye se nahi chal sakty. Isliye dono pahiye ka hona aur sahi halat me hona zaruri hay agar kisi waja se aik pahiya toot jaye ya kharab ho ya siray se ho hi nahi tou gari khari ki khari reh jaty hay is ka chalna mumkin nahi hay. Yahi haal hamaray mashray ka hay. Isme mard aur aurat dono ki ahmiyat yaksaan hay jab tak dono ilm se behrawar nahi hogay hum kisi sorat tarakki nahi ker sakte. Taraqi ka zeena hamesha ilm hi raha hay. Is k zariye kamyabi aur kamrani ki manzil tak pohancha ja sakta hay.
Qudrat ne jo faraiz aurat ko sonpay hain in me sab se ahem farz bacho ki tarbyat aur parwarish ka hay. Pedaish se kabal hi bachay ki tarbyat aur perwarish shuru hojaty hay. Is k baad maa ki goud daras gaah hoty hay. Maa agar taaleem yafta hay tou aulad b sahib-e-ilm aur mohzib hogi kyu k bachay ka zyada waqt maa k paas guzarta hay. Bacha maa k tor atwar ko seekhta hay. Un parh aur na khuwanda maa bachay k ikhlaq o adaat nahi sanwar sakhty lekin parhi likhi samajh daar maa apnay bacho ki tarbyat me bht madad gaar sabit hoty hay aur is ki nighadaasht sahi tor pe ker sakty hay aur is k khayalat o kirdaar ko nikhar sakty hay.
Is me koi shak nahi k bachay ki perwarish me baap ka b hissa hota hay magar is se inkar nahi kya jasakta k ibtidai taleem ka aghaaz maa ki goud se hi hota hay. Bari bari shakhsiyato ne maa se tarbyat pai hay ye darasgaah kehlaane ko tou mukhtasar si hoty hay lekin banty hui imarat ki bunyad maa ki goud hi hay jitni mazboot bunyad hogi utni hi mazboot imarat tameer hogi. Fitri salahiyato k etbaar se aurat mard se kisi b tarah kam nahi hay aurtein mardon se kam zaheen nahi hoty. Jo log aurto ko taleem dilwane k haq me nahi hain wo in ki taleem ko sirf nazra, Quran Majeed tak mehdood rakhtay hain deegar aloom se waqfiat nahi karatay. 
In ka ye khayal hay k taleem yafta aurat bey parda fashion ki dil dada fazool kharch hoty hay, sair o tafri ki dil dada wagera hoty hain tou is me kasoor larkio kaa nahi hay jin ko hum taaleem detay hain bul k in k mahol ka hay. Taleem insan ko roshan khayal banaty hay, zimedar sikaty hay jo log bigray huye hain wo taleem wo taleem hasil kiye baghair hi bigray huey hain chahay wo mard ho yaa aurat. Ye kasoor us ghalat tarbyat aur ghair mauzoo nisab o mahol ka hay. Shuru hi se agar aisay intizamaat ho k larkiyo ki tarbyat deen o islam k khatoot per ho aur inhe pakeeza aur buraiyo se paak mahol milay tou taleem niswa'n mashray me bigar ka sabab nahi ban sakty.
Qudrat ne jo fitri salahiyatein aurat ko ata ki hain in ko baruey kaar lanay k liye in ki salahiyato ko ujagar kerna zaruri amar hay aur ye salahiyatein sirf taleem hi hay jo k ujagar ker sakay lihaza zindagi k iqdaar me nikhar aur waqar sirf ilm hi ki badolat aega.

Monday 13 April 2015

Cell Phone ek Mufeed ejaad. Istemal acha ya bura ?

Aaj kal k is jadeed dour me jahan her koi in ijadad se faida utha raha hai. Wahin log in ejadad bayak waqt bura bhala be kehtay hain. Misal k tor pe log her waqt mobile phone ko bura bhala kehte hain jab k yeh aik bht hi karamad cheez hai. Log yeh kehte hain k mobile phones se buraiyan barh gai hain, jab cell phone nahi tha tou kya buraiya nahi thi? Sms tou sirf Sms hota hay wo naa tou acha hota hay na hi bura hota hay ap us se zariya-e-fahash baat b ker saktay hain aur mazhabi baatein be. Lehaza sms ka apna koi qasoor nahi. Agar ap samajhte hain k sms galat hay tou galat sms kerne walay ka qasoor hay.
Burai ka taluq insan ki personality se hay naa k scientific ejaad se. Lehaza cell phones ka bey-hayai se koi taluq nahi tamam scientific ejaad ki tarha cell phones k b fawaid bey shumar hain. Jahan tak istemal ki baat hay tou wo aaj sirf aur sirf is liye hi maar kha raha hay kyu k wo scientific mahol ko qabool karne ko tayar nahi aur us waqt tak maar khata rahay ga k jab tak wo is scientific mahol ko qabool nahi ker sakay ga.
Agar maa baap ki ijazat se mangetar aik dosray se baat kerte hain tou is me dusro ko pareshan honay ki kiya zarurat hay? Kyu apne ganday zehan ki waja se mobile ko badnaam kerte hain?
Agar cell phone companies koi sastay packages ka elaan kerti hay tou is me cell phones company ka kia qasoor? Jab cell phones nahi thay tou log pen se ishqia khatoot likhte thay tou kiya pen ki kharabi thi? Jis tarah pen ki kharabi nahi thi isi tarha cell phones ko zariya-e-ishq kehna bi cell phones ki kharabi nahi.

Maa Allah Pak ka khubsurat tohfa




 LAKH GIRDH APNY HIFAZAT KI LAKIREN KHENCHU
        AIK BHI IN MAI SE NAHI MERI MAA KI DUAO JESI


Gulab Jesi Khushbu, Chodhvi Ke Chand Jesi Chandni, Ferishton Jesi Masoomiyat, Suchai Ka Pekar, Lazawal Muhbbat, Shafqat, Tarap, Qurbani, Jab Ye Tamama Lafz Yakja Ho Jae To Bun Jata Hai Teen Hurfo Ka Lafaz "MAA".
Maa Ke Qadmon Tale Janat Hai.Maa Ko Muskira Kar Dekhne Se Maqbool "HAJ"Ka Sawab Milta Hai. Maa Ki Zindagi Tareeq Raho Mein Roshini Ka Minaar Hai.Maa Aur Phoolon Mein Koi Faraq Nahi. Maa Qudrat Ka Ataa Karda Behtreen Tohfa Hai, 1 Anmol Khzana Hai, Naram Lateef Hawa Ka Jhoka Hai, Beti Ke Sar Ki Chadar Hai, Bilakte Bache Ki Lori Hai, Chandini Ki Thandak Hai, Musibataon Mein Dhaal Hai, Gher Ki Malka Ka Naam Hai, Janat Ki Rinaq Hai, Asmaani Tohfa Hai, Kaiynat Ki Khoobsoorati Ka Raz Hai, 1 Duaa Hai,.
Maa Ki Asal Khoobsoorati Us Ki Muhbbat Hai Aur Meri MAA Duniya Ki Khoobsoorat MAA Hai. Maa 1 Buhat Bari Azeem Husti Hai.Aur Maa Sumandar Ki Gehrai Se Bhi Ziyada Gehri Hai, Jis Mein Olaad Ke Liye Muhbbat, Tahafuz Aur Ahsaas Ke Jazbe Thanthe Marte Hain.

Maa Kehne Ko To Kitna Chota Sa Lafaz Hai, Mager Us Lafaz Mein Kitni Gehrai Hai, Har Koi Is Gehrai Ko Nahi Jaan Sakta Aur Na Hi Is Taq Kisi Ki Rasai Mimkin Hai.

Duniya Ki Muhbbat Dekh Kar Maa Ki Muhbbat Se Inkaaar Na Karen, Because Jitni Wo Olaad Se Piyaar Karti Hai Duniya Ki Muhbbat Us Ke Aage Hech Hai.

Jis Tarha ALLAH TALAH Ki Nematon Ka Shumaar Karna Na Mumkin Hai, Isi Tarha Maa Ki Mamta Ka Andaza Lagana Mushkil Hai, Is Liye Humare Liye Is Se Bari Koi Nemat Nahi.
Ye ALLHA TALAH Ki Taraf Se Humare Liye 1 Azeem Aur Anmol Tohfa Hai, Is Liye Is Ki Qadder Karo, Ta Ke Tum Ko Bhi Qader Ki Nigaah Se Dekha Jae Q Ke MAA Jesi Azeem Husti Bar Bar Nahi Milti.Is Liye Is Se 
Muhbbat Karo, Ta Ke Tumhe Bhi Muhbbat Mile.Is Ko Tahafuz Do Ta Ke Tumhe Bhi Tahafuz Ka Ahsas Ho. 
Maa Ki Azmat:
Jab Madine Me Islam Aam Ho Chuka To
Nabi (Saw) Ne Farmaya:

Agar Aj Meri Maa Zinda Hoti
Aur Main Namaz-e-Isha Men Khara Hota
Or
Meri Maa Hujre Se Mujhe Awaz Deti
O’Muhammad (Saw)!
To Khuda Ki Qasam
Main Farz Namaz Chor Kar Dorta Hua Jata
Or Maa K Qadmon Men Gir Jata
Subhanallah.