Our real problem, then, is not our strength today; it is rather the vital necessity of action today to ensure our strength tomorrow.

Suspect arrested in Sabeen Mehmood murder's case. 12:32 AM (PST)

Friday 24 April 2015

 

 

 

 Taleem Niswa'n


Ilm k baghair dunya andheri kothri ki manind hay. Isliye mardo k taleem yafta honay k saath saath khawateen ka b ilm hasil kerna zaruri hay. Mard aur aurat gari k do pahiye ki tarah hain. Gari kabhi aik pahiye se nahi chal sakty. Isliye dono pahiye ka hona aur sahi halat me hona zaruri hay agar kisi waja se aik pahiya toot jaye ya kharab ho ya siray se ho hi nahi tou gari khari ki khari reh jaty hay is ka chalna mumkin nahi hay. Yahi haal hamaray mashray ka hay. Isme mard aur aurat dono ki ahmiyat yaksaan hay jab tak dono ilm se behrawar nahi hogay hum kisi sorat tarakki nahi ker sakte. Taraqi ka zeena hamesha ilm hi raha hay. Is k zariye kamyabi aur kamrani ki manzil tak pohancha ja sakta hay.
Qudrat ne jo faraiz aurat ko sonpay hain in me sab se ahem farz bacho ki tarbyat aur parwarish ka hay. Pedaish se kabal hi bachay ki tarbyat aur perwarish shuru hojaty hay. Is k baad maa ki goud daras gaah hoty hay. Maa agar taaleem yafta hay tou aulad b sahib-e-ilm aur mohzib hogi kyu k bachay ka zyada waqt maa k paas guzarta hay. Bacha maa k tor atwar ko seekhta hay. Un parh aur na khuwanda maa bachay k ikhlaq o adaat nahi sanwar sakhty lekin parhi likhi samajh daar maa apnay bacho ki tarbyat me bht madad gaar sabit hoty hay aur is ki nighadaasht sahi tor pe ker sakty hay aur is k khayalat o kirdaar ko nikhar sakty hay.
Is me koi shak nahi k bachay ki perwarish me baap ka b hissa hota hay magar is se inkar nahi kya jasakta k ibtidai taleem ka aghaaz maa ki goud se hi hota hay. Bari bari shakhsiyato ne maa se tarbyat pai hay ye darasgaah kehlaane ko tou mukhtasar si hoty hay lekin banty hui imarat ki bunyad maa ki goud hi hay jitni mazboot bunyad hogi utni hi mazboot imarat tameer hogi. Fitri salahiyato k etbaar se aurat mard se kisi b tarah kam nahi hay aurtein mardon se kam zaheen nahi hoty. Jo log aurto ko taleem dilwane k haq me nahi hain wo in ki taleem ko sirf nazra, Quran Majeed tak mehdood rakhtay hain deegar aloom se waqfiat nahi karatay. 
In ka ye khayal hay k taleem yafta aurat bey parda fashion ki dil dada fazool kharch hoty hay, sair o tafri ki dil dada wagera hoty hain tou is me kasoor larkio kaa nahi hay jin ko hum taaleem detay hain bul k in k mahol ka hay. Taleem insan ko roshan khayal banaty hay, zimedar sikaty hay jo log bigray huye hain wo taleem wo taleem hasil kiye baghair hi bigray huey hain chahay wo mard ho yaa aurat. Ye kasoor us ghalat tarbyat aur ghair mauzoo nisab o mahol ka hay. Shuru hi se agar aisay intizamaat ho k larkiyo ki tarbyat deen o islam k khatoot per ho aur inhe pakeeza aur buraiyo se paak mahol milay tou taleem niswa'n mashray me bigar ka sabab nahi ban sakty.
Qudrat ne jo fitri salahiyatein aurat ko ata ki hain in ko baruey kaar lanay k liye in ki salahiyato ko ujagar kerna zaruri amar hay aur ye salahiyatein sirf taleem hi hay jo k ujagar ker sakay lihaza zindagi k iqdaar me nikhar aur waqar sirf ilm hi ki badolat aega.

No comments:

Post a Comment