Our real problem, then, is not our strength today; it is rather the vital necessity of action today to ensure our strength tomorrow.

Suspect arrested in Sabeen Mehmood murder's case. 12:32 AM (PST)

Wednesday 29 April 2015

 

 Hunar nhi Qadar ki kami hay.

Watan-e-Aziz Pakistan ko Khuda ne beshumar qudarty khazano aur tahaif se nawaza hay jin ka faida uthatay huye hum taraqi ki beshumar manazil tey ker saktay hain, hamaray pass kisi cheez ki kami nahi sub kuch mojood hay agar kuch kami hay tou wo sirf aur sirf imaan ki hay hum be-imaan hogaye hain jis ki waja se hamay faida aur nuqsan me farq samajh nahi aata yehi waja hay k hum tawanai o deegar bohrano me ghiray chalay jarahay hain, hamaray pass hunar ki kami nahi qadar ki kami hay. Hamaray mulk ki awam mulk k liye kuch kerna chahtay hain lekin in ko moqa nahi dya jata jis ki waja se hamari koi b nayi ejaad mashoor honay se pehle hi zawaal aur kharabio ka shikaar hojaty hain. Hamaray mulk k bachay aur burhay sab k sab zaheen hain aur mulk k liye kuch na kuch kerna chahte hain. Agar Pakistan k zaheen nojawan bacho ki baat ki jaye tou Babar Iqbal,Arfa Kareem aur Sikander mehmood baloch aur in jesay mutadad deegar wo naam hain jinho ne IT k shobay me Pakistan ka naam roshan kiya aur rukni record banaye. Arfa karim ab is dunya me nahi rahi magar isne Pakistan k liye na sirf record banaye bul k bainal aqwami IT company microsoft k saath mil ker Pakistan k liye kaam kiya. Hamein nojawano me chupi khubian talash ker k inhe mulki mufaad me istemal kerne ki zaroorat hay. Tawanai k bohran se nijaat k hawalay se baat ki jaye tou haal hi me Dr.Sarwar ne jehlum me qaim National Scientific and Educational Research Centre me pani se chalnay wali do gariya banai hain aur ye dono gariyan 60 feesad endhan ki bachat ker rahi hain. Dr.Sarwar ki pani se chalnay wali gari na sirf petrol aur gas k istemal me kami lasakty hay bul k mahol ki aloodgi me b kami lasakty hay. Aaj kal CNG stations aur petrol pumps per gario ki qatarein lagi rehty hain is maslay ko Dr.Sarwar ki madad se hul kiya jasakta hay. Hamaray mulk me aisay mutadad log hain jo mulk taraqqi k liye khoon paseena aik kerne ko tayar hain magar in ko hukumati sar parasty hasil nahi jis ki waja se koi b bara kaam kerne se qasir hain. Agar hukumat aisay logo ki sar parasty shuru kerday tou mulk tamam bohrano aur pareshanio se nikal sakta hay. Hamein yakja ho ker imandari se kam kerne ki zarurat hay. Pakistan me zahanat ki kami nahi hay zarurat is amar ki hay k zahanat ki qadar kerte huye isay istemal me laya jaye ta k mulk ki taraqi aur bhala ho sakay.

No comments:

Post a Comment