Pakistan
 ki awam bilkhusoos nojawano ko social media ki yalghaar ne guzishta 3,4
 barson se buri tarha apni grift me le lya hai. Youn k is k shikanje se 
apni jaan churana mushkil nazar ata hai. Pehle 
Facebook
,
 phir Twitter, viber, Whatsapp, Tango, E-buddy, Skype Gharz an-ginat 
network hain jo nojawano ko dunya bhula kar Apne Aap me Mashghol rakhte 
hain. Asr -e-Rawan me hamare pas maloomat or peghamat ka ek hujoom hai 
jo sailab ki tarha umandta chala arha hai. Mehaz ek click pr dunya jahan
 ki maloomat apk samne bikhri pari hoti hain. Hum is hujoom me itna 
ulajh gae hai k hamari moral values, knowledge or creativity zero hoti 
ja rhi hai. Hamari nojawan nasal Social networking websites ki takhleeq k
 maqasad to door, Apne Maqasid e zindagi bhi bhoolte ja rhe hai. Is 
social networking ne hamen family se disconnect krdya hai. Ek ghar me 
rehne wale dosre ki khabar nhi rakh pate, lekin Saat samandar paar 
baithe doston or waqif kaaron ko how are you, get well soon k paighamat 
bhejte zarror nazar ate hain. Ek or ghalat rujhan jo maashre me nimo paa
 rha hai wo privacy ka ehsaas khatam hojana hai. kisi k ghar me koi 
zaati taqreeb munaqid ho to agle din adhe shehar ko tafseel, caption 
samait personal pics daikhne ko miljati hain chahe us sham sahib e khana
 ka parosi or us k bache bhook se behaal hon, kis ko parwa hai?
Deegar mumalik me Social networking websites ko awareness spread 
 krne k lye, or as a revolution tool istemal kya gya. Jis ki taaza 
misaal misar(Egypt), shaam(Syria), Lebnon or turkey hain. Lekin 
Pakistani maashre me hum  log tafreeh or khud numai se bahar  hi nhi aske. To iska Positive Istemal khuda jane kb seekhenge? Kisi positive surat e haal k Asaraat door door tak  nazar nhi ate. Hum bunyadi tor 
 pr shughal maile me masroof qoam or ghair sanjida riwaye k haamil hain.
 Social Networking ne bhi Hamen Octopus ki tarha daboch lya hai. Hum isk
 lye addiction to mehsoos krte hain lekarapni ghulamana zehniyat or 
rawish badalne ko Tayar nhi hain..





